Saturday, November 30, 2013

Text of PPP Patron-in-Chief Bilawal Bhutto’s address to the public gathering at foundation day of PPP

http://mediacellppp.wordpress.com/
46 (ChiyaaaLis)saal pehlay aik wadaY ki zanjeer nay is mulk kay har shaks ko aapas main baandh dia tha. Us wadaY ka naam tha Pakistan People’s Party. Aur wo aawaz thi Shaheed Zulfiqar Ali Bhutto ki… Wohi aawaaz, jo sunaY-ii di Benazir Bhutto Shaheed kay naroo main… Wohi Benazir jinhon nay is mulk k liyae, Is qaum kay liyay, Awaam kay liyay, Jamhooriat kay liyay… Aik tabeer k liyae, Apni jaan tak day di , PPP nay hamaisha status quo ko challenge kiya hai. jab SZAB nay roti, kapray aor makan ka naara lagaya, to unhoo nay sarmaya daron kay zulm o jabr ko challenge kiya tha, aor un ki aawaz awaam ki aawaz thi. Jab unhon nay uss waqt kay liyay land reforms ka nifaaz kiya, to unhon nay unn jageerdaron kay us tabqay ko challenge kiya, jis kay saath un ka apna talluq tha. Jab unhon nay mulki sanaton ko nationalize karnay ka faisla kiya, to unhon nay uss waqt kay unn 23 (Taeess) khandaanon ko challenge kiya tha, jin ka is mulk kay wasael aor khazanon par qabza tha. Jab wo Pakistan ki hari hoi zameen, aur jangi qaidi wapas lie, to qoum kay liye yeh aik azeem kaArnama tha, magar chand taqatton ko yeh HazZam na huwa..shaid issiliyay kaha gaya hai kay jis par ehsaan karo uss kay sharr say daro. Jab unhon nay nuclear programme shuroo kiya, aor islami bomb banaya to yeh dunya kay liye aik challenge tha. Aor phir status quo kay chahnay walon nay usay takhta-e-dar par latkaya, us ka jurm sirf yeh tha keh wo ghareeb ki baat karta tha. Jab smbb nay insaaf ka mutalba kiya, to us nay insaaf kay peh-ray-daron ko lalkara tha. Jab unho nay jamhooriyat kay liye pukara, to us nay Amrika kay paltoo ghaddaron ko lalkara tha. Jab wo muslim dunya ki pehli khatoon wazeer e azam bani, to us nay mardo ki patriarchal society ko lalkara tha. Jab unho nay missile technology mutaarif karayi, to us nay dunya ko challenge kiya. Jab unho nay Hindustan say Aman ki baat ki, tu uss nay jang kay sood-A-garo kay karoobar ko khatraYYY mien daal diya, phir hamari SMBB ko ‘security risk’ karaar day diya gaya. Jab unho nay mazhab kay bio pari aor islam kay thakaidaron kay khilaf, jamhoori jihad shuroo kiya, aor dunya kay samnay islam ko amn ka safeer bana kar paish kiya to usay kafir kaha giya. Aik bar phir, apnay azeem baap ki tarah us nay status quo ki taqton ko challenge kiya, aor ghareebon ki aawaz ban gai. Aor tareekh nay aik baar phir apnay aap ko dohraaya, munsaf kay qalam us kay khilaaf likhnay lagay, us kay asif ko aghwa kar liya giya, aor yarghamaal bana kar us ka hosla passt karnay ki koshish ki gai, us kay naam par dunya bhar ka key-char uchala giya. Jab un ki har chaal naakam ho gai, aor awaam kay dilon say Bhutto ki baiti ki mohabbat na nikal saki to usay shaheed kar diya giya. Sadr zardari nay aik baar phir BISP ka aghaz kar kay MoAAshray kay pasmaanda logon kay liye aawaz buland ki. Sadr Zardari nay takhte-Islamabad ki amriyat ko lalkara, aur 18th amendment ki soorat mein hamaray soobon ko unn ka haq wapis diya. Sadr Zardari nay Swat mein woh kar dekhaya jo aik fauji aamir apni poori taaqat kay saath na kar saka, Pakistan ka parcham aik baar phir SWAT ki vaadiyon mien buland kar diya gaya. Sadr zardari nay agriculture sector main inqilab barpa kartay hooy , Pakistan ko aik gandum aur cheeni import karnay walay mulk say, gandum aur cheeni export karnay waala mulk bana kar, yeh sabit kar diya keh watan ki taraqqi main baray shehron kay saath saath hamaray mulk kay Gaaon bhi Ahem kirdar ada kar saktay hain. Sadr zardari aal-ami taqton kay samnay seena taan kar kharaYY ho gaey. Nato supply roak di, shamsi air base band kar diya aor aal-ami taqton ki marzi kay khilaaf Pakistan ko gawadar port aor iran-Pak gas pipeline ka tohfa diya. Sadr zardari nay Pakistan ko jamhooriyat ka tohfa day kar aamriyat kay status quo ko hamaisha kay liye khatam kar diya. Jhoot hai keh ppp badal gai, jhoot hai keh ppp ab wo naheen rahi jo pehlay thi, ppp kisi jageerdar ki,kisi sarmayadar ki,kisi khilari ki,kisi mulla ki meeras naheen, ppp kay saath koi Fay, Noon, Qaaf naheen laga hua keh jis kay hatnay say yeh party khatm ho jay, yeh awam ki party hai, yeh aapki party hai, yeh aik jazba hai, aik janoon hai, aik riwayat hai aor riwaytain badla naheen karteen, jazbay mara naheen kartay , ppp bhi wohi hai, Bhutto bhi wohi hai, janoon bhi wohi hai aor app bhi wohi ho, to aao aik baar phir usi manzil ki taraf chalain jis ka rasta ZA Bhutto nay dikhaya tha. Aao hum dunya ko bata dain keh sooraj maghrab say nikal sakta hai laikin Pakistanio kay dilo say Bhutto ki mohabbat kabhi khatam nahi ho sakti. Jiyala, kabhi mayoos naheen hota, kabhi naheen haarta, kabhi naheen haarta. Hum 2018 (do hazaar athara)say pehlay dunya ko dikha dain gay keh ppp zinda bhi hai aor pehlay say bhi behtar hai. Meray Jiyaloo, Hum social mobility aur economic equality kay liyay larain gay. Ham aik khush haal aor pur aman Pakistan kay liye larain gay. App ameer ho ya ghareeb, muslim ho ya ghair muslim, Punjabi ho ya baloch, qanoon ki nazar main, app sab barabar ho gay. Hum wo Pakistan banayien gay, jahan taraqqi ki bunyad sirf mehnat par ho gi,koi rishta, koi ilaqa, koi safarash, kisi ki mehnat ka muqabla naheen kar sakay gi. Agar app ameer ho, to yaad rakho keh yeh dolat mairay watan ka tohfa hai, yeh mairi mitti ka inaam hai, yeh mairay logon ki mehnat hai, yeh mairi dharti , mairi hawaoon, mairi fizaoon, ki kamayiii hai, yeh mairay ghareeb awaam kay khoon ka , un kay paseenay ka, un kay aansoon, aor gham ka badla hai, is liye apni dolat par gharoor karnay say pehlay, yeh bhi sochna keh yeh dharti, jitni tumhari hai, utni hi in ghareebon ki bhi hai. Agar app un ki mehnat say ameer ho-WaYYYY, to un ka hissa unhain day do, Ajj Hamara mulq maeshi badhaali ka shikaar hai, mehngai asmaan par phoonch gayi hai, gareeb say uss kay moun ka nawalA cheen liya gaya hai, tamatar tak ki qeemat RS 200 tak phoonh gayi thi, subsidies khatam kar di gayein hein, bijli kay bill double kar diyay gayey hein, mulq mien gas khatam honay wali hai, ghareebo ka choooohla jalna band honay walAA hai, Sindh ka hissa Sindh say cheen liya gaya hai, awaam gharo bay ghar honay walay hein, BISP programme ko khatam karnay kay mansoobay banayien ja rahay hein… Qaumi idaro ko privatize kiya ja raha hein, hum 100 feesad privatization kay khilaaf hein, yeh tu privatization kay naam par hamaray idaray apnay dosto ko dilwa rahien hein, yeh privatization nahi, yeh personalization hai, yeh hum nahi honay dein gay… ajj hamara mulq mushkil mein hai, iss mushkil waqt mein, hum chahtay hein kay app maeeshi badhaali ka wazan meray ghareeb awaam par maat dalien balkay yeh wazn meray jaisay logo par daalien jo iss ko baradasht karnay ki taqaat rakhtay hein. Haan yeh hamaara mutalba hai, yeh kal bhi hamaara mutalba tha, aor aaj bhi hum ghareeb kay haq kay liye aawaz buland kartay hain. Isi-liyay to woh hum say nafrat kartay hain. Isi-liyay to woh hamaray dushman hain. Isi-liyay to wo hamari jaan lainay par tulay rehtay hain. Isi-liyay tu woh hum par choor honay ka jhoota ilzaam lagatay hein, corruption ka naara aik bahana hai. Hum Pakistan kay ghareebon ka CH-eenna hua haq unhain wapas dilaana chahtay hain, hum ameer say lay kar ghareeb ko daina chahtay hein, aor woh dartay hain keh ham kaheen kamyaab na ho jayien. Unhon nay SZAB kay voters ko nangay paoAon walay keh kar un ka mazaq uraya, SMBB kay deewanon ko aourat kay ghulaam kaha, mairay jiyyalon ko jahil kaha. To phir aao, aaj ham bhi aik wada karain, Aao aik baar phir ussi rastay par loat jain, jo hamain SZAB nay dikhaya tha, aao unhain dikha dain keh nangay pairon walon mien, meray Pakistan kay Haariyoon mien, meray kissan mien, meray mazdoor mien, meray mulq kay jawaan mien, meray tulba mien, meri unions mien, meray mulq ki minorities mien, meray mulq ki aurtoon mien, meray party kay jayyalon main, kis tarah Hussain ki fauj aur samundar ki mauj jaisi taqat hoti hai. Aao unhain dikha dain keh ham ppp kay jayyaly hain, hum Bhutto kay deewanay hein, hum BB kay parwanay hein aur aakhri jeet hamari ho gi Yeh baazi ishq ki baazi hai, jo chaho lagado dar kaisa Gar jeet gayaaaay to kiya kehna, haray bhi to baazi maat Naheen Meray Jiyalo, Hamaray mukhalif kehtay hein kay Bilawal Bhutto Zardari app ki zabaan nahi bol saktaa… woh kehtay hein kay mein app ki baat nahi samajh sakta….. unn ko yeh samajh nahi hai kay hamaara rishta zubaan kay rishtay say ziada hai. hamara rishta dilo ka rishtaa hai…khoon ka rishta hai. Mein app say poochta hun… kya app tak meray dil ki awaaz nahi phoonch rahi? Kya mien app kay dil ki awaaz nahi bol saktaa? Kya meray Punjab walo ko Bilawal ki awaaz nahi arahi? Kya meray Baluchistan kay Bhai meri baat nahi samajh rahay? Kya meray Pakhtoonkhawa walo ko meri awaaz ki pechan nahi hai. kya meray Sindh walay meri baat samajh nahi paa rahay? Agar arahi hai tu. AOO ajj hum sab mill kar SZAB kay liyay aur Hamari BB, Meri mama kay liyay Naara lagayein… Naaara Naaara Naarayyyyyy Bhuttooo Jiyay Jiyay Jiyay Bhuttoo Jiyay Bhutto Benazir Naaara Naaara Naarayyyyyy Bhuttooo Jiyay Jiyay Jiyay Bhuttoo Jiyay Bhutto Benazir Ya Allah ya Rasool Benazir BayQasoorrr.. Jiyay Bhutto!! ********************************

No comments:

Post a Comment